Majdoor
Haan main is desh ka majdoor hu.
Tumhare ghar ko bnane se le sab kaam kar leta tha.
Haan aaj kal kuch khali hu.
Roti ki chinta stati hai.
Bacha dudh mangta hai Maa pani de sulati hai.
Har taraf bajti taali hai.
Kahin gunjati thali hai.
Meri awaz ka mol nahi.
Main roz kamata khata tha.
Main roz subha uth jata tha.
Ab uth subha main jau kahan.
Roti roz main mang k lau kahan.
Comments
Post a Comment